18 Apps For Every Blogger | Mobile Blogging Apps In 2019

Mobile Bloggers ke liye 18 Apps


Doston agar ap bh mobile phone se blogging karte hain or chahte hain ke hum aik kamyaab blogger ban jayn tou aisay main apko kuch zaroori tools chahiye hote hain jo ke har mobile blogger ko pata hona zaroori hai tou aaj main aap logon ko aisay hy 18 apps ke baaray main detail ke sath bataonga ke wo app konse hain or ku zaroori hai
Ye tamam apps tested kr trusted hain

18 Apps For Mobile Blogger

Blogger
Wordpress
Google Analytics
Google Adsense
Microsoft Word
Sinium Seo toolkit
Image converter
PixelLab ya picsart
Seo checker
Writer Plus
Qoura
Canva
Pixabay
Keyword reaserch tool
Buffer
Quick Edit
Image to text
Other language keyboard ( Easy Urdu )



How to Download These Apps?

Ye tamam apps aap logon ko play store pr mil jaynge aapne just inke name type karnay hain jese maine likhen hain.

Blogger


Blogger  har us user ke liye hai jinka blogger se bana blog hai ye apko directly bloggger pr redirect kardega or es app se aap apne blogger blog fully ko  customize kar sakte ho

Wordpress


Wordpress app se aap easily apne wordpress blog ko control kar sakte ho

Google Analytics

Google Analytics
Es app ke throw app apne blog ke analytics easily check  kar sakte hain jese apne blog pr traffic ki details or real time traffic and location har cheez

Google Adsense

Google Adsense
Doston Aap samajh hy gay honge name se es se aap apne earning check kar sakte ho easily chahe wo blog ki ho ya youtube ki

Microsoft Word


Guys ye app buhat hy important hai agar aap mobile se blogging karte ho tou es app pr aap apne blog ke liye article easily type or edit  kar sakte ho then phir aap apni microsoft word file copy karke blog post main past kar sakte ho

Sinium Seo Toolkit


Doston naam se hy apke mind main aik baat ay hogi ke ye aik toolkit hai (toolkit means jis main kaafi saare tools hoon ya apps hon) guys es aik app main ap logon ko takreeban 100 se uper tools milenge jin main seo ranking tools, reaserch tools(keyword planner, adsense calculator, mobile friendly test, page size checker, word counter and etc...) performance tools, on page seo, off page seo, domain tools, secuirty tools waghaira
Ye aik buhat hy important app hai mobile blogger ke liye maine khud es app ko test kia hai

Image Converter


Guys ye bh important app hai jese ke hum jo images create karte hain unko seo friendly or apne website ke mutabik compress karna parta hai jis se wo ziyada time naa le load hone main so es app ki madad se app images alag alag format main convert kar sakte hain or compress kar sakte hain phir aap un images ko apne blog post main use kar sakte hain

Pixel Lab OR Picsart


Doston ye image editor hain aap en ki madad se apne blog post ke liye images bana sakte hain or phir images converter se size reduce kar sakte hain

SEO Checker


Guys agar aapne apna blog abhi abhi create kia hai or aap chahte hain ke koi humen esko edit karne ka suggestion de kese hum theme edit karen or hanare blog main kia kia mistakes hain

Tou guys seo checker hy woh app hai jis se app apne blog ko taste kar sakte hain ( ye seo friendly hai ya nh es main meta tag perfect hai ya nh es ki loading speed or bh buhat cheezen)

Or ye  app apki site taste karne ke baad aap ko suggestion bh dega ke aap ko apne theme main kia kia edit karna hai

Writer Plus


Ye aik aisa app hai jis main aap apni writing skil improve kar sakte hain basically main ye app word or character count karne ke liye use karta hoon

Qoura


Qoura aik aisa platform hain jahan apko har question ka answer mil jayga tou bew blogger ko main ye zaroor suggest karoonga es app ko use karen apna question type karen or lakhon users apki help karenge answer main like ( aap search karen how to create blog in blogger? So es sawal ke apko kaafi answers mil jaynge)

Canva 


Guys es app se aap aapne bog ke liye logo, thumbnail, blog graphic, ya blog banner create kar sakte hain es main or bh doosre apps ke liye free templates hote hain jinhe aap apne mutabik edit kar sakte hain

Pixabay


Guys ye buhat hy important apl hai ye aik stock photography app hai jis main aap koi bh image download karke apne blog main use kar sakte hain bina kisi copyright tension ke because ye totally free hai ya app inke website pr bh visit kar sakte hain
 www.pixabay.com

Keyword Reaserch Tool


Es app se aap apne blog ke liye best keywords find kar sakte hain

Buffer 


Har blogger ka social media page zaroor hota jis se woh apne articles logon tak share karta hai tou share karne main khasa wakt zaya hota hai jaise main facebook ke alag alag groups ya page main apna article one by one share karoonga then then ye app social media control karta hai es main app apne social media account control kar sakte hain or publishing time bh laga sakte hain ( mera article 8:00 pm pe es page pr share )


Quick Edit



Ye html editor hai jese agar aap apne blog ke template ko apne mobile ke throw edit karte hain tou apka mobile hang hojata hai kuke wo itni coding sambhal nh pata tou ye app uska solution hai apne apni coding copy ya cut karke es app pr paste karni hai the  phir jo jo edit karna hi wo aap kar sakte hain the  phir paste kardeni hai

Image To Text



Es app se ap kisi bh image ko scan karke text main convert kar sakte hain or phir apne blog post main use kar sakte hain Like
“Shahid Afridi ki likhi gay book main ye ye inkishaf”

Apne un jagahon ko text main convert karlena hai

Other Language Keyboard


Agar apka blog english ke ilawa kisi or language main haito aap koi doosra keyboard use karen agar apka blog urdu main hai tou aap “easy urdu keyboard” use karen es se ap apni language main likhen or ye automatic usko urdu main convert kardega


Note


Main pehle bh ye declare kar chuka hoon ke ye sab apps ap logon ko Play Store pr mil jaynge aapne just inke name type karne hain ya app google se bh ye apps download kar sakte hain .

Agar apko post pasand ay hoto apne friends or social media sites  pr share zaroor karen

Or kisi bh problem ki surat main comment section main zaroor poochen


Post a Comment

2 Comments

  1. Sir nice post maine mobile se blogging karna start ki hai i love this

    ReplyDelete
  2. Great post, I have got the same challenge of my blog to not show images, especially to recent post, how did you solve your issue.. please respond in line to help me.

    Brightermango.blogspot.com

    ReplyDelete